pise dil uski chitwan par hazaron
pise dil us kī chitvan par hazāroñ
mu-e-be-sāḳhta-pan par hazāroñ
mirī zid se huā hai mehrbāñ dost
mire ehsāñ haiñ dushman par hazāroñ
barā.e-shukr-e-qātil roñgToñ se
zabāneñ haiñ mire tan par hazāroñ
na aTkhelī se chal hote haiñ sadme
dil-e-shaiḳh-o-barahman par hazāroñ
huā sar ḳham na zer-e-teġh jallād
rahe bojh apnī gardan par hazāroñ
tire kushta haiñ ham āñkheñ maleñge
hamāre sañg-e-madfan par hazāroñ
na mal ai luabat-e-chīñ itr-e-gulzār
galā kāTeñge gulshan par hazāroñ
nahīñ ik mard ko duniyā se matlab
mareñ nāmard is zan par hazāroñ
ajab kyā hai agar parvāne be-shamā
jaleñ 'ātish' ke madfan par hazāroñ
pise dil us ki chitwan par hazaron
mu-e-be-saKHta-pan par hazaron
meri zid se hua hai mehrban dost
mere ehsan hain dushman par hazaron
barae-shukr-e-qatil rongTon se
zabanen hain mere tan par hazaron
na aTkheli se chal hote hain sadme
dil-e-shaiKH-o-barahman par hazaron
hua sar KHam na zer-e-tegh jallad
rahe bojh apni gardan par hazaron
tere kushta hain hum aankhen malenge
hamare sang-e-madfan par hazaron
na mal ai luabat-e-chin itr-e-gulzar
gala kaTenge gulshan par hazaron
nahin ek mard ko duniya se matlab
maren namard is zan par hazaron
ajab kya hai agar parwane be-shama
jalen 'atish' ke madfan par hazaron
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.