piya jo zahr-e-gham-e-zist angbin ki tarah
piyā jo zahr-e-ġham-e-zīst añgbīñ kī tarah
nikhar gayā huuñ kisī rū-e-āsmāñ kī tarah
mire vajūd ke sahrā-e-shab-zada pe ye kaun
kiran bikhertā rahtā hai mah-jabīñ kī tarah
maiñ apnī zaat meñ mahbūs ho ke baiTh rahā
bikhartā kaash tirī zulf-e-ambarīñ kī tarah
huī hai ḳhaak se merī numūd meñ bhī yahāñ
asīr-e-gardish-e-hālāt huuñ zamīñ kī tarah
maiñ apne zāhir-o-bātin meñ ek jaisā huuñ
farāḳh dil bhī hai merā mirī jabīñ kī tarah
maiñ ġham kī aag meñ ḳhāvar na jal ke raakh huā
vagarna maiñ bhī chamaktā kisī nagīñ kī tarah
piya jo zahr-e-gham-e-zist angbin ki tarah
nikhar gaya hun kisi ru-e-asman ki tarah
mere wajud ke sahra-e-shab-zada pe ye kaun
kiran bikherta rahta hai mah-jabin ki tarah
main apni zat mein mahbus ho ke baiTh raha
bikharta kash teri zulf-e-ambarin ki tarah
hui hai KHak se meri numud mein bhi yahan
asir-e-gardish-e-haalat hun zamin ki tarah
main apne zahir-o-baatin mein ek jaisa hun
faraKH dil bhi hai mera meri jabin ki tarah
main gham ki aag mein KHawar na jal ke rakh hua
wagarna main bhi chamakta kisi nagin ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.