piyala zahr ka lae ho pine kyon nahin dete
piyāla zahr kā laa.e ho piine kyoñ nahīñ dete
mire marne pe ronā hai to jiine kyoñ nahīñ dete
nishāñ be-shak bacheñ lekin ye ik din-bhar hī aate haiñ
khurachnā kyoñ mujhe zaḳhmoñ ko siine kyoñ nahīñ dete
ilāhī chand lamhe de ke sab kuchh chhīn lete ho
mohabbat karne vāloñ ko mahīne kyoñ nahīñ dete
pareshāñ kar rahe ham ko hamīñ ko dost kahte haiñ
chhupāte ho mirā pyāla kamīne kyoñ nahīñ dete
ḳhudāyā zalzale kā din muqarrar ḳhud kiyā tum ne
to phir har ik kī qismat meñ safīne kyoñ nahīñ dete
piyala zahr ka lae ho pine kyon nahin dete
mere marne pe rona hai to jine kyon nahin dete
nishan be-shak bachen lekin ye ek din-bhar hi aate hain
khurachna kyon mujhe zaKHmon ko sine kyon nahin dete
ilahi chand lamhe de ke sab kuchh chhin lete ho
mohabbat karne walon ko mahine kyon nahin dete
pareshan kar rahe hum ko hamin ko dost kahte hain
chhupate ho mera pyala kamine kyon nahin dete
KHudaya zalzale ka din muqarrar KHud kiya tum ne
to phir har ek ki qismat mein safine kyon nahin dete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.