piyenge aaj masjid hi sahi mai-KHana ho jae
piyeñge aaj masjid hī sahī mai-ḳhāna ho jaa.e
janāb-e-shaiḳh kā zarf-e-vazū paimāna ho jaa.e
zamāna bhuul jaa.e naam hī farhād-o-shīrīñ kā
hamāre dard kā qissa bhī ik afsāna ho jaa.e
ḳhudā ke vāste mahshar meñ be-parda na ho jaanā
tumhīñ par hūr-e-jannat kā kahīñ dhokā na ho jaa.e
sadāqat se kare insāñ jo niyyat jāñ-nisārī kī
yaqīnan dil meñ paidā himmat-e-mardāna ho jaa.e
mire ġham kī kahānī sun ke bole aur lutf aa.e
agar ek ek harf afsāne kā afsāna ho jaa.e
tumheñ hai jalva-e-rangīñ dikhāne se ġharaz sāhib
kisī ke hosh jaa.eñ yā koī dīvāna ho jaa.e
nikalne duuñ maiñ apne ghar se kyoñ un kī tamannā.eñ
nahīñ manzūr ye ābād ghar vīrāna ho jaa.e
kahāñ insān kī tāqat jo roke us ko dam-bhar meñ
kisī kī umr kā labrez jab paimāna ho jaa.e
tire mastoñ meñ gāḌhī chhan rahī hai mai-gusārī par
kahīñ aisā na ho un meñ sar-e-mai-ḳhāna ho jaa.e
agar vo mah-jamāl aa.e shab-e-tārīk ai 'sābir'
to zulmat duur ho raushan mirā kāshāna ho jaa.e
piyenge aaj masjid hi sahi mai-KHana ho jae
janab-e-shaiKH ka zarf-e-wazu paimana ho jae
zamana bhul jae nam hi farhad-o-shirin ka
hamare dard ka qissa bhi ek afsana ho jae
KHuda ke waste mahshar mein be-parda na ho jaana
tumhin par hur-e-jannat ka kahin dhoka na ho jae
sadaqat se kare insan jo niyyat jaan-nisari ki
yaqinan dil mein paida himmat-e-mardana ho jae
mere gham ki kahani sun ke bole aur lutf aae
agar ek ek harf afsane ka afsana ho jae
tumhein hai jalwa-e-rangin dikhane se gharaz sahib
kisi ke hosh jaen ya koi diwana ho jae
nikalne dun main apne ghar se kyon un ki tamannaen
nahin manzur ye aabaad ghar virana ho jae
kahan insan ki taqat jo roke us ko dam-bhar mein
kisi ki umr ka labrez jab paimana ho jae
tere maston mein gaDhi chhan rahi hai mai-gusari par
kahin aisa na ho un mein sar-e-mai-KHana ho jae
agar wo mah-jamal aae shab-e-tarik ai 'sabir'
to zulmat dur ho raushan mera kashana ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.