piyo-pilao alarraghm daur-e-jam chale
piyo-pilāo alarraġhm daur-e-jām chale
ye mai-kada hai yahāñ kis kī rok-thām chale
vahāñ raho ki jahāñ hosh hī nahīñ aa.e
vahāñ chalo ki jahāñ be-ḳhudī se kaam chale
nigāh milte hī ruḳh par naqāb Daal liyā
vo sub.h ko bhī to merī banā ke shaam chale
shab-e-firāq vo ashkoñ ne raushnī baḳhshī
añdherī raat meñ tāroñ se jaise kaam chale
fazā.eñ mast huiiñ lī jo us ne añgḌā.ī
paḌā jo āñkhoñ kā partav zarā to jaam chale
piyo-pilao alarraghm daur-e-jam chale
ye mai-kada hai yahan kis ki rok-tham chale
wahan raho ki jahan hosh hi nahin aae
wahan chalo ki jahan be-KHudi se kaam chale
nigah milte hi ruKH par naqab Dal liya
wo subh ko bhi to meri bana ke sham chale
shab-e-firaq wo ashkon ne raushni baKHshi
andheri raat mein taron se jaise kaam chale
fazaen mast huin li jo us ne angDai
paDa jo aankhon ka partaw zara to jam chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.