Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

piyun hi kyun jo bura jaanun aur chhupa ke piyun

Arzoo Lakhnavi

piyun hi kyun jo bura jaanun aur chhupa ke piyun

Arzoo Lakhnavi

MORE BYArzoo Lakhnavi

    piyūñ kyuuñ jo burā jānūñ aur chhupā ke piyūñ

    maiñ vo nahīñ ki nigāheñ bachā bachā ke piyūñ

    miTā diye haiñ sab ehsās uf re zauq-e-sharāb

    surūr kam na ho turshī bhī gar milā ke piyūñ

    gunah pe tohmat-e-be-lazzatī na rakh zāhid

    maza na aa.e to kyuuñ muñh banā banā ke piyūñ

    ye tishnagī-e-shahādat iqtizā ab hai

    ki āb-e-teġh-e-sitam zahr meñ bujhā ke piyūñ

    gale meñ lagtī hai ifrāt-e-shauq se phāñsī

    paḌe na halq meñ phandā to DagDagā ke piyūñ

    hai ek sāġhar-e-dil aur hazār-rañg mai

    na ho jo ghar meñ to bāzār se mañgā ke piyūñ

    bharosa kar ke maiñ apne rahīm par vaa.iz

    maza to jab hai ki tujh ko jalā jalā ke piyūñ

    talab se aar hai itnī ki pyaas gar na bujhe

    jigar ke ḳhuun ko paanī banā banā ke piyūñ

    nigāh-e-shauq mirī ruuh khīñch letī hai

    nahīñ vo riñd ki sāġhar se muñh lagā ke piyūñ

    ye shai ki jis se nigāhoñ ko rashk dil ko surūr

    chhupā chhupā ke uñDelūñ dikhā dikhā ke piyūñ

    gunāhgār sahī chor maiñ nahīñ zāhid

    hai ye bhī kufr ki ka.abe se muñh phirā ke piyūñ

    na riñd-e-tañg-nazar 'ārzū' na tanhā-ḳhor

    jo zahr bhī ho mayassar to maiñ pilā ke piyūñ

    piyun hi kyun jo bura jaanun aur chhupa ke piyun

    main wo nahin ki nigahen bacha bacha ke piyun

    miTa diye hain sab ehsas uf re zauq-e-sharab

    surur kam na ho turshi bhi gar mila ke piyun

    gunah pe tohmat-e-be-lazzati na rakh zahid

    maza na aae to kyun munh bana bana ke piyun

    ye tishnagi-e-shahadat ka iqtiza ab hai

    ki aab-e-tegh-e-sitam zahr mein bujha ke piyun

    gale mein lagti hai ifraat-e-shauq se phansi

    paDe na halq mein phanda to DagDaga ke piyun

    hai ek saghar-e-dil aur hazar-rang ki mai

    na ho jo ghar mein to bazar se manga ke piyun

    bharosa kar ke main apne rahim par waiz

    maza to jab hai ki tujh ko jala jala ke piyun

    talab se aar hai itni ki pyas gar na bujhe

    jigar ke KHun ko pani bana bana ke piyun

    nigah-e-shauq meri ruh khinch leti hai

    nahin wo rind ki saghar se munh laga ke piyun

    ye shai ki jis se nigahon ko rashk dil ko surur

    chhupa chhupa ke unDelun dikha dikha ke piyun

    gunahgar sahi chor main nahin zahid

    hai ye bhi kufr ki kabe se munh phira ke piyun

    na rind-e-tang-nazar 'arzu' na tanha-KHor

    jo zahr bhi ho mayassar to main pila ke piyun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now