pohncha isi bahane mera fan kamal ko
pohñchā isī bahāne mirā fan kamāl ko
urdu sikhā rahā thā maiñ ik ḳhush-jamāl ko
us kā surāġh mil nahīñ paayā ki bārhā
dekhā talāsh kar ke dil-e-yarġhamāl ko
khurchūñgā apne dil se tirā ek ek naqsh
jhaTkūñgā zehn se maiñ tire har ḳhayāl ko
ham ko amar rakhegī hamārī suḳhanvarī
tarsegā ye zamāna hamāre zavāl ko
daftar ho qurb-e-dost ho yā mahfil-e-suḳhan
tanhā har ek bazm meñ paayā 'malāl' ko
pohncha isi bahane mera fan kamal ko
urdu sikha raha tha main ek KHush-jamal ko
us ka suragh mil nahin paya ki barha
dekha talash kar ke dil-e-yarghamal ko
khurchunga apne dil se tera ek ek naqsh
jhaTkunga zehn se main tere har KHayal ko
hum ko amar rakhegi hamari suKHanwari
tarsega ye zamana hamare zawal ko
daftar ho qurb-e-dost ho ya mahfil-e-suKHan
tanha har ek bazm mein paya 'malal' ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.