poshak-e-mohabbat thi phaTi humne wo si di
poshāk-e-mohabbat thī phaTī ham ne vo sī dī
ehsās kī nagrī meñ khilā rañg-e-shahīdī
kis jabr kā narġha hai madīne kī riyāsat
ḳhāmosh hai kyoñ kyā hai koī ahd-e-yazīdī
ham girya ke phūloñ se girā Dāleñge ik din
dīvār ke pīchhe bhī hai dīvār-e-hadīdī
tum apne tasavvur se banāte ho jo misre
ye ham ne diye tum ko ḳhayālāt jadīdī
ye apnā tayaqqun thā ki mil jā.egī 'manzar'
sayyad the so bhūle se bhī duniyā na ḳharīdī
poshak-e-mohabbat thi phaTi hum ne wo si di
ehsas ki nagri mein khila rang-e-shahidi
kis jabr ka nargha hai madine ki riyasat
KHamosh hai kyon kya hai koi ahd-e-yazidi
hum girya ke phulon se gira Dalenge ek din
diwar ke pichhe bhi hai diwar-e-hadidi
tum apne tasawwur se banate ho jo misre
ye hum ne diye tum ko KHayalat jadidi
ye apna tayaqqun tha ki mil jaegi 'manzar'
sayyad the so bhule se bhi duniya na KHaridi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.