poshak teri ai gul-e-KHandan hai surKH sabz
poshak teri ai gul-e-KHandan hai surKH sabz
Waheeduddin Ahmad Waheed
MORE BYWaheeduddin Ahmad Waheed
poshāk terī ai gul-e-ḳhandāñ hai surḳh sabz
yā fasl-e-gul se rang-e-gulistāñ hai surḳh sabz
yā surḳh sabz rang hai fānūs-e-pairahan
jis meñ ye nūr-e-shama-e-farozāñ hai surḳh sabz
yā aaj phūlī hai inhīñ do rangoñ kī shafaq
jis meñ zuhūr-e-mahr-e-daraḳhshāñ hai surḳh sabz
aaya hai yā simaT ke ye qaus-e-quzah kā rang
jis meñ ye sho.ala barq kā tābāñ hai surḳh sabz
yā hai ye surḳh sabz libās-e-nasīm-e-sub.h
jis se tamām gulshan-e-daurāñ hai surḳh sabz
yā surḳh-o-sabz rang hai ā.īne kā ġhilāf
jis se nigāh-e-dīda-e-hairāñ hai surḳh sabz
yā surḳh-o-sabz rang kī ye dhuup chhāñv hai
is meñ ye jalva-e-mah-e-tābāñ hai surḳh sabz
rang-e-chaman se kyā ise tashbīh de 'vahīd'
us se tirā libās do-chandāñ hai surḳh sabz
poshak teri ai gul-e-KHandan hai surKH sabz
ya fasl-e-gul se rang-e-gulistan hai surKH sabz
ya surKH sabz rang hai fanus-e-pairahan
jis mein ye nur-e-shama-e-farozan hai surKH sabz
ya aaj phuli hai inhin do rangon ki shafaq
jis mein zuhur-e-mahr-e-daraKHshan hai surKH sabz
aaya hai ya simaT ke ye qaus-e-quzah ka rang
jis mein ye shoala barq ka taban hai surKH sabz
ya hai ye surKH sabz libas-e-nasim-e-subh
jis se tamam gulshan-e-dauran hai surKH sabz
ya surKH-o-sabz rang hai aaine ka ghilaf
jis se nigah-e-dida-e-hairan hai surKH sabz
ya surKH-o-sabz rang ki ye dhup chhanw hai
is mein ye jalwa-e-mah-e-taban hai surKH sabz
rang-e-chaman se kya ise tashbih de 'wahid'
us se tera libas do-chandan hai surKH sabz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.