poshida ajab zist ka ek raaz hai mujh mein
poshīda ajab ziist kā ik raaz hai mujh meñ
be-par huuñ magar jur.at-e-parvāz hai mujh meñ
duniyā maiñ tire saath abhī chal na sakūñgā
kuchh baaqī abhī zarf kī āvāz hai mujh meñ
safhāt pe bikhre haiñ mire saiñkaḌoñ sūraj
insāñ ke har ik baab kā āġhāz hai mujh meñ
majrūh to kar saktā nahīñ tere yaqīñ ko
ai dost magar fitrat-e-hamrāz hai mujh meñ
koī mujhe bad-kār kahe us kī ḳhatā kyā
ye merā hī baḳhshā huā ezaaz hai mujh meñ
juz tere mirā sar na jhukā aage kisī ke
ye naaz hai gar jurm to ye naaz hai mujh meñ
poshida ajab zist ka ek raaz hai mujh mein
be-par hun magar jurat-e-parwaz hai mujh mein
duniya main tere sath abhi chal na sakunga
kuchh baqi abhi zarf ki aawaz hai mujh mein
safhat pe bikhre hain mere sainkaDon suraj
insan ke har ek bab ka aaghaz hai mujh mein
majruh to kar sakta nahin tere yaqin ko
ai dost magar fitrat-e-hamraaz hai mujh mein
koi mujhe bad-kar kahe us ki KHata kya
ye mera hi baKHsha hua ezaz hai mujh mein
juz tere mera sar na jhuka aage kisi ke
ye naz hai gar jurm to ye naz hai mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.