poshida dekhti hai kisi ki nazar mujhe
poshida dekhti hai kisi ki nazar mujhe
Wahshat Raza Ali Kalkatvi
MORE BYWahshat Raza Ali Kalkatvi
poshīda dekhtī hai kisī kī nazar mujhe
dekh ai nigāh-e-shauq tū rusvā na kar mujhe
maqsad se be-niyāz rahā zauq-e-jushtujū
maiñ be-ḳhabar huā jo huī kuchh ḳhabar mujhe
maiñ shab kī bazm-e-aish kā mātam-nashīñ huuñ aap
ro ro ke kyuuñ rulātī hai sham.a-e-sahar mujhe
hairat ne merī ā.īna un ko banā diyā
kyā dekhte ki rah ga.e vo dekh kar mujhe
qurbān jā.ūñ chhoḌ takalluf kī guftugū
kah kar pukār 'vahshat'-e-shorīda-sar mujhe
poshida dekhti hai kisi ki nazar mujhe
dekh ai nigah-e-shauq tu ruswa na kar mujhe
maqsad se be-niyaz raha zauq-e-jushtuju
main be-KHabar hua jo hui kuchh KHabar mujhe
main shab ki bazm-e-aish ka matam-nashin hun aap
ro ro ke kyun rulati hai shama-e-sahar mujhe
hairat ne meri aaina un ko bana diya
kya dekhte ki rah gae wo dekh kar mujhe
qurban jaun chhoD takalluf ki guftugu
kah kar pukar 'wahshat'-e-shorida-sar mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.