poshida jab ho raaz ki munh mein zaban na ho
poshīda jab ho raaz ki muñh meñ zabāñ na ho
ham baat bhī kareñ to baġhair-az-fuġhāñ na ho
le jaa.eñ aah mujh ko mirī bad-gumāniyāñ
zālim vahāñ ki terā pata bhī jahāñ na ho
zāhid azāb-e-ishq-e-sanam lutf-e-haq samajh
ya.anī azaab ham ko yahāñ ho vahāñ na ho
nairangī-e-chaman jo mujhe yaad aa ga.ī
gul par huā gumān ki barg-e-ḳhizāñ na ho
tum ko maza na degī kabhī dāstān-e-ishq
jab tak hamāre muñh se ye qissa bayāñ na ho
naaqe ko qais kyā na lagā laa.e raah par
lailā kā rāzdār agar sārbāñ na ho
tohmat kisī ko zulm kī ai 'dāġh' kyoñ lagā.eñ
shikva butoñ se kyā jo ḳhudā mehrbāñ na ho
poshida jab ho raaz ki munh mein zaban na ho
hum baat bhi karen to baghair-az-fughan na ho
le jaen aah mujh ko meri bad-gumaniyan
zalim wahan ki tera pata bhi jahan na ho
zahid azab-e-ishq-e-sanam lutf-e-haq samajh
yani azab hum ko yahan ho wahan na ho
nairangi-e-chaman jo mujhe yaad aa gai
gul par hua guman ki barg-e-KHizan na ho
tum ko maza na degi kabhi dastan-e-ishq
jab tak hamare munh se ye qissa bayan na ho
naqe ko qais kya na laga lae rah par
laila ka raazdar agar sarban na ho
tohmat kisi ko zulm ki ai 'dagh' kyon lagaen
shikwa buton se kya jo KHuda mehrban na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.