pukar use ki ab is KHamushi ka hal nikle
pukār use ki ab is ḳhāmushī kā hal nikle
javāb aa.e to mumkin hai baat chal nikle
zamāna aag thā aur ishq lau-lagī rassī
hazār jal ke bhī kab is balā ke bal nikle
maiñ apnī ḳhaak pe ik umr tak barastā rahā
thamā to dekhā ki kīchaḌ meñ kuchh kamal nikle
maiñ jis meñ ḳhush bhī thā zinda bhī thā tumhārā bhī thā
ka.ī zamāne nichoḌūñ to ek pal nikle
kuchh ek ḳhvāb vahāñ bo rahūñgā sochā hai
vo nain agar mire nainoñ se bhī sajal nikle
maiñ apne hāthoñ ko rotā thā har duā ke baa'd
ḳhudā ke haath to mujh se ziyāda shal nikle
dayār-e-ishq meñ sab kā guzar nahīñ mumkin
ka.ī jo pairoñ pe aa.e the sar ke bal nikle
bahār jazb hai jis meñ use banāte hue
tamām rang mire canvas pe dull nikle
jamī huī thī mirī aañkh ik alaav ke gird
kuchh ek ḳhvāb to yūñhī pighal pighal nikle
badal ke rakh hī diyā mujh ko umr bhar ke liye
tirī hī tarah tire ġham bhī be-badal nikle
jo dil meñ aa.e the aahaT utaar kar apnī
vo dil se nikle to phir kitnā pur-ḳhalal nikle
pukar use ki ab is KHamushi ka hal nikle
jawab aae to mumkin hai baat chal nikle
zamana aag tha aur ishq lau-lagi rassi
hazar jal ke bhi kab is bala ke bal nikle
main apni KHak pe ek umr tak barasta raha
thama to dekha ki kichaD mein kuchh kamal nikle
main jis mein KHush bhi tha zinda bhi tha tumhaara bhi tha
kai zamane nichoDun to ek pal nikle
kuchh ek KHwab wahan bo rahunga socha hai
wo nain agar mere nainon se bhi sajal nikle
main apne hathon ko rota tha har dua ke ba'd
KHuda ke hath to mujh se ziyaada shal nikle
dayar-e-ishq mein sab ka guzar nahin mumkin
kai jo pairon pe aae the sar ke bal nikle
bahaar jazb hai jis mein use banate hue
tamam rang mere canwas pe dull nikle
jami hui thi meri aankh ek alaw ke gird
kuchh ek KHwab to yunhi pighal pighal nikle
badal ke rakh hi diya mujh ko umr bhar ke liye
teri hi tarah tere gham bhi be-badal nikle
jo dil mein aae the aahaT utar kar apni
wo dil se nikle to phir kitna pur-KHalal nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.