pukare ja rahe ho ajnabi se chahte kya ho
pukāre jā rahe ho ajnabī se chāhte kyā ho
ḳhud apne shor meñ gum aadmī se chāhte kyā ho
ye āñkhoñ meñ jo kuchh hairat hai kyā vo bhī tumheñ de deñ
banā kar but hameñ ab ḳhāmushī se chāhte kyā ho
na itminān se baiTho na gahrī niind so paao
miyāñ is muḳhtasar sī zindagī se chāhte kyā ho
use Thahrā sako itnī bhī to vus.at nahīñ ghar meñ
ye sab kuchh jaan kar āvārgī se chāhte kyā ho
kināroñ par tumhāre vāste motī bahā laa.e
gharauñde bhī nahīñ toḌe nadī se chāhte kyā ho
charāġh-e-shām-e-tanhā.ī bhī raushan rakh nahīñ paa.e
ab aur aage havā kī dostī se chāhte kyā ho
pukare ja rahe ho ajnabi se chahte kya ho
KHud apne shor mein gum aadmi se chahte kya ho
ye aankhon mein jo kuchh hairat hai kya wo bhi tumhein de den
bana kar but hamein ab KHamushi se chahte kya ho
na itminan se baiTho na gahri nind so pao
miyan is muKHtasar si zindagi se chahte kya ho
use Thahra sako itni bhi to wusat nahin ghar mein
ye sab kuchh jaan kar aawargi se chahte kya ho
kinaron par tumhaare waste moti baha lae
gharaunde bhi nahin toDe nadi se chahte kya ho
charagh-e-sham-e-tanhai bhi raushan rakh nahin pae
ab aur aage hawa ki dosti se chahte kya ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.