pul-e-sirāt na thā dasht-e-nainavā bhī na thā
tumhārā hijr magar ham se kaT rahā bhī na thā
na-jāne kyuuñ tumheñ ik ik ḳharāsh jāntī thī
har ek zaḳhm tumhārā diyā huā bhī na thā
bañdhe hue the ka.ī ahd gar karo mahsūs
karo jo yaad to va.ada koī huā bhī na thā
duā salām to rakhnī thī tere kūche se
vagarna tujh se to milne ko dil kiyā bhī na thā
maiñ ab bhī un ujḌī huī bastiyoñ ko rotā huuñ
jahāñ pe koī Thikāne kā āshnā bhī na thā
pul-e-siraat na tha dasht-e-nainawa bhi na tha
tumhaara hijr magar hum se kaT raha bhi na tha
na-jaane kyun tumhein ek ek KHarash jaanti thi
har ek zaKHm tumhaara diya hua bhi na tha
bandhe hue the kai ahd gar karo mahsus
karo jo yaad to wada koi hua bhi na tha
dua salam to rakhni thi tere kuche se
wagarna tujh se to milne ko dil kiya bhi na tha
main ab bhi un ujDi hui bastiyon ko rota hun
jahan pe koi Thikane ka aashna bhi na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.