pur-haul jangalon ki sada mere sath hai
pur-haul jañgaloñ kī sadā mere saath hai
maiñ jis taraf bhī jā.ūñ havā mere saath hai
duniyā meñ aaj mujh ko balāoñ kā Dar nahīñ
har lamha merī maañ kī duā mere saath hai
dushvār rāstoñ meñ hifāzat karegā vo
maiñ mutma.in huuñ merā ḳhudā mere saath hai
barsegī aaj dil kī zamīñ par ye TuuT kar
goyā 'zamān' ġham kī ghaTā mere saath hai
pur-haul jangalon ki sada mere sath hai
main jis taraf bhi jaun hawa mere sath hai
duniya mein aaj mujh ko balaon ka Dar nahin
har lamha meri man ki dua mere sath hai
dushwar raston mein hifazat karega wo
main mutmain hun mera KHuda mere sath hai
barsegi aaj dil ki zamin par ye TuT kar
goya 'zaman' gham ki ghaTa mere sath hai
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 548)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.