pur-haul KHarabon se shanasai meri hai
pur-haul ḳharāboñ se shanāsā.ī mirī hai
hañgāme agar tere haiñ tanhā.ī mirī hai
ai husn tū har rañg meñ hai qābil-e-izzat
maiñ ishq huuñ har haal meñ rusvā.ī mirī hai
jo sat.h pe hai terī rasā.ī hai usī tak
fankār huuñ maiñ ziist kī gahrā.ī mirī hai
hastī ke ujāle haiñ mirī aañkh kā partav
har chashma-e-pur-nūr meñ bīnā.ī mirī hai
har naqsh-e-hasīñ hai mirī kāvish kā natīja
har manzar-e-dilkash meñ tavānā.ī mirī hai
shā.er huuñ sadāqat kā parastār huuñ 'rūhī'
har rañg meñ har daur kī sachchā.ī mirī hai
pur-haul KHarabon se shanasai meri hai
hangame agar tere hain tanhai meri hai
ai husn tu har rang mein hai qabil-e-izzat
main ishq hun har haal mein ruswai meri hai
jo sath pe hai teri rasai hai usi tak
fankar hun main zist ki gahrai meri hai
hasti ke ujale hain meri aankh ka partaw
har chashma-e-pur-nur mein binai meri hai
har naqsh-e-hasin hai meri kawish ka natija
har manzar-e-dilkash mein tawanai meri hai
shaer hun sadaqat ka parastar hun 'ruhi'
har rang mein har daur ki sachchai meri hai
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 02.06.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.