pur-Khaar rahguzar pe hi chalna nahin sada
pur-ḳhār rahguzar pe hī chalnā nahīñ sadā
ḳhushiyoñ ko paañv paañv masalnā nahīñ sadā
vo din kabhī to ā.eñge jo mere naam hoñ
tere hī roz-o-shab ko badalnā nahīñ sadā
milnā hai umr bhar ke liye ham ko ek din
jaatī rutoñ ke taur bichhaḌnā nahīñ sadā
tark-e-ta.alluqāt se pahle ye soch le
dil ko tire hī dam se machalnā nahīñ sadā
qismat tirī bhī ruuTh to saktī hai ek din
taqdīr ko mirī hī bigaḌnā nahīñ sadā
pur-KHar rahguzar pe hi chalna nahin sada
KHushiyon ko panw panw masalna nahin sada
wo din kabhi to aaenge jo mere nam hon
tere hi roz-o-shab ko badalna nahin sada
milna hai umr bhar ke liye hum ko ek din
jati ruton ke taur bichhaDna nahin sada
tark-e-talluqat se pahle ye soch le
dil ko tere hi dam se machalna nahin sada
qismat teri bhi ruTh to sakti hai ek din
taqdir ko meri hi bigaDna nahin sada
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.