pur-KHatar rah agar ho to safar mat kije
pur-ḳhatar raah agar ho to safar mat kiije
zindagī zer-o-zabar ho to safar mat kiije
dhuup kī shiddat-e-betāb hai tā-hadd-e-nazar
koī saaya na shajar ho to safar mat kiije
koī taarā ho na jugnū ho na manzil kā pata
shab hī shab ho na sahar ho to safar mat kiije
kaun hai dushman-e-jāñ rahzan-e-manzil yaaro
jab ki ye bhī na ḳhabar ho to safar mat kiije
jā.iye koī bulā.e jo amaañ kī ḳhātir
haañ agar ḳhair meñ shar ho to safar mat kiije
rasta hamvār ho to shauq se chalte rahiye
'yās' agar girne kā Dar ho to safar mat kiije
pur-KHatar rah agar ho to safar mat kije
zindagi zer-o-zabar ho to safar mat kije
dhup ki shiddat-e-betab hai ta-hadd-e-nazar
koi saya na shajar ho to safar mat kije
koi tara ho na jugnu ho na manzil ka pata
shab hi shab ho na sahar ho to safar mat kije
kaun hai dushman-e-jaan rahzan-e-manzil yaro
jab ki ye bhi na KHabar ho to safar mat kije
jaiye koi bulae jo aman ki KHatir
han agar KHair mein shar ho to safar mat kije
rasta hamwar ho to shauq se chalte rahiye
'yas' agar girne ka Dar ho to safar mat kije
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.