pur-KHauf zulmaton se hamein phir nikaliye
pur-ḳhauf zulmatoñ se hameñ phir nikāliye
ab ke jo ho sake ka.ī sūraj uchhāliye
shāmil kisī kā haath hai merī uThān meñ
ye bel jo chaḌhī to koī aasrā liye
pata huuñ ek shāḳh se TuuTā girā huā
phirtī rahegī jaane kahāñ tak havā liye
inkār pyaas aag lahū tan darīdgī
kuufe se ho nasīb palaTnā to kyā liye
har baar apnī chup se ulajhte rahā kiye
āsāñ nahīñ haiñ harf-o-navā ke sivā liye
mumkin hai jism tāb-e-gohr dil kā ban sake
ye ḳhvāb hai to aañkh kī siipī meñ pāliye
shāyad kisī ḳhayāl kī tah meñ chhupe mileñ
sāhil hare-bhare ki samundar ne aa liye
pur-KHauf zulmaton se hamein phir nikaliye
ab ke jo ho sake kai suraj uchhaaliye
shamil kisi ka hath hai meri uThan mein
ye bel jo chaDhi to koi aasra liye
pata hun ek shaKH se TuTa gira hua
phirti rahegi jaane kahan tak hawa liye
inkar pyas aag lahu tan daridgi
kufe se ho nasib palaTna to kya liye
har bar apni chup se ulajhte raha kiye
aasan nahin hain harf-o-nawa ke siwa liye
mumkin hai jism tab-e-gohr dil ka ban sake
ye KHwab hai to aankh ki sipi mein paliye
shayad kisi KHayal ki tah mein chhupe milen
sahil hare-bhare ki samundar ne aa liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.