pur-KHulus jazbon ka dan to nahin lete
pur-ḳhulūs jazboñ kā daan to nahīñ lete
jaan kahne vāloñ kī jaan to nahīñ lete
ik zarā sā ye sun kar tum se pyaar hai ham ko
yuuñ kamān-e-abrū ko taan to nahīñ lete
maiñ jo kahnā chāhūñ tum ḳhud hī bol dete ho
rāz-e-dil haqīqat meñ jaan to nahīñ lete
go guzishta 'āshiq hai kuchh bharam to bantā hai
jaan le chuke the nā maan to nahīñ lete
ye to aap haiñ 'ārif' itne sar-chaḌhe haiñ jo
varna har kisī kī ham maan to nahīñ lete
pur-KHulus jazbon ka dan to nahin lete
jaan kahne walon ki jaan to nahin lete
ek zara sa ye sun kar tum se pyar hai hum ko
yun kaman-e-abru ko tan to nahin lete
main jo kahna chahun tum KHud hi bol dete ho
raaz-e-dil haqiqat mein jaan to nahin lete
go guzishta 'ashiq hai kuchh bharam to banta hai
jaan le chuke the na man to nahin lete
ye to aap hain 'arif' itne sar-chaDhe hain jo
warna har kisi ki hum man to nahin lete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.