pur-KHun hai jigar lala-e-sairab ki saugand
pur-ḳhūñ hai jigar lāla-e-sairāb kī saugand
rañgīnī-e-dāġh-e-dil-e-betāb kī saugand
tasvīr hai tujh yaad siiñ ā.īna-e-dil aaj
hairat-vashī-e-dīda-e-be-ḳhvāb kī saugand
hai kāba-e-maqsūd mujhe vo ḳham-e-abru
ai shoḳh mujhe masjid o mehrāb kī saugand
sarsabz hai aañsū siiñ mirā gulshan-e-ummīd
hai mujh kuuñ mire dīda-e-pur-āb kī saugand
ahvāl-e-'sirāj' aa ki birah aag meñ tuuñ dekh
be-tāqat o be-tāb hai sīmāb kī saugand
pur-KHun hai jigar lala-e-sairab ki saugand
rangini-e-dagh-e-dil-e-betab ki saugand
taswir hai tujh yaad sin aaina-e-dil aaj
hairat-washi-e-dida-e-be-KHwab ki saugand
hai kaba-e-maqsud mujhe wo KHam-e-abru
ai shoKH mujhe masjid o mehrab ki saugand
sarsabz hai aansu sin mera gulshan-e-ummid
hai mujh kun mere dida-e-pur-ab ki saugand
ahwal-e-'siraj' aa ki birah aag mein tun dekh
be-taqat o be-tab hai simab ki saugand
- Book : Kulliyat-e-Siraj (Pg. 389)
- Author : Siraj Aurangabadi
- Publication : Qaumi Council Baraye-Farogh Urdu (1982,1998)
- Edition : 1982,1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.