pur-nur KHayalon ki barsat teri baaten
pur-nūr ḳhayāloñ kī barsāt tirī bāteñ
har shaḳhs ye kahtā hai naġhmāt tirī bāteñ
ruḳhsār hasīñ darpan āñkhoñ meñ hayā raushan
kirdār tirā sandal jazbāt tirī bāteñ
simTe to dil-e-āshiq phaile to jahāñ kam hai
sadiyoñ ko banā degī lamhāt tirī bāteñ
ab ḳhud se bhī milne kī fursat hī kahāñ ham ko
har shaam tirī mahfil har raat tirī bāteñ
nazreñ jo uThā do tum taare bhī chamak jaa.eñ
aur chāñd ko de jaa.e sauġhāt tirī bāteñ
aa jaatī hai milne ko har raat hameñ 'zākir'
phūloñ kī ridā oḌhe bārāt tirī bāteñ
pur-nur KHayalon ki barsat teri baaten
har shaKHs ye kahta hai naghmat teri baaten
ruKHsar hasin darpan aankhon mein haya raushan
kirdar tera sandal jazbaat teri baaten
simTe to dil-e-ashiq phaile to jahan kam hai
sadiyon ko bana degi lamhat teri baaten
ab KHud se bhi milne ki fursat hi kahan hum ko
har sham teri mahfil har raat teri baaten
nazren jo uTha do tum tare bhi chamak jaen
aur chand ko de jae saughat teri baaten
aa jati hai milne ko har raat hamein 'zakir'
phulon ki rida oDhe baraat teri baaten
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.