pur-nur zindagi ki sahar kho rahe hain log
pur-nur zindagi ki sahar kho rahe hain log
Nayyar Qureshi Gangohi
MORE BYNayyar Qureshi Gangohi
pur-nūr zindagī kī sahar kho rahe haiñ log
sūraj chaḌhā huā hai magar so rahe haiñ log
kaise khileñge phuul mohabbat ke shahr meñ
kāñTe jab apnī raah meñ ḳhud bo rahe haiñ log
chehre fasurda-hāl haiñ āñkheñ bujhī bujhī
azm-o-amal se duur ye kyā ho rahe haiñ log
mumkin nahīñ hayāt kī manzil nasīb ho
rāh-e-farār DhūñD ke jab so rahe haiñ log
har dam urūs-e-vaqt kī barham-mizājiyāñ
ik taaza inqalāb ko phir ro rahe haiñ log
rāhat kā zikr chhoḌiye kaise mile qarār
har lamha ġham ke bojh ko jab Dho rahe haiñ log
kuchh un ke iḳhtiyār-e-mohabbat pe sochiye
hañste hue jo dāġh-e-jigar dho rahe haiñ log
hālāt sāzgār hoñ hargiz nahīñ ye ġham
kahne ko hañs rahe haiñ magar ro rahe haiñ log
ta.amīr-e-zindagī se gurezāñ hai zindagī
'nayyar' nashāt-e-kaif meñ gum ho rahe haiñ log
pur-nur zindagi ki sahar kho rahe hain log
suraj chaDha hua hai magar so rahe hain log
kaise khilenge phul mohabbat ke shahr mein
kanTe jab apni rah mein KHud bo rahe hain log
chehre fasurda-haal hain aankhen bujhi bujhi
azm-o-amal se dur ye kya ho rahe hain log
mumkin nahin hayat ki manzil nasib ho
rah-e-farar DhunD ke jab so rahe hain log
har dam urus-e-waqt ki barham-mizajiyan
ek taza inqalab ko phir ro rahe hain log
rahat ka zikr chhoDiye kaise mile qarar
har lamha gham ke bojh ko jab Dho rahe hain log
kuchh un ke iKHtiyar-e-mohabbat pe sochiye
hanste hue jo dagh-e-jigar dho rahe hain log
haalat sazgar hon hargiz nahin ye gham
kahne ko hans rahe hain magar ro rahe hain log
tamir-e-zindagi se gurezan hai zindagi
'nayyar' nashat-e-kaif mein gum ho rahe hain log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.