pur-shor talatum ka mudawa koi aahaT
pur-shor talātum kā mudāvā koī aahaT
sañgīn fazā meñ thī dilāsā koī aahaT
be-dard havāoñ ne hirāsāñ to kiyā thā
thī saath magar un ke shanāsā koī aahaT
jab kaalī ghaTā qahr kā sāmān banī thī
de kar ga.ī bijlī kā ujālā koī aahaT
goshe meñ tasavvur jahāñ bīmār paḌā thā
kartī thī mohabbat se ishāra koī aahaT
ḳhāmosh ḳhayāloñ ke qafas meñ tū paḌā rah
jāgegī nahīñ dar pe dobāra koī aahaT
sailāb ke narġhe meñ ghirī jab se tamannā
ik sapnā dikhātī hai suhānā koī aahaT
kartī hai kabhī ġhaiz kī bāñhoñ ko pakaḌ kar
bechain samundar meñ tamāshā koī aahaT
ik yaad kā āñchal jo uḌā tez havā meñ
dene lagī hamdard bulāvā koī aahaT
rahmat bharī āñkhoñ se zarā dekhnā 'ja.afar'
tūfān meñ DhūñDe hai sahārā koī aahaT
pur-shor talatum ka mudawa koi aahaT
sangin faza mein thi dilasa koi aahaT
be-dard hawaon ne hirasan to kiya tha
thi sath magar un ke shanasa koi aahaT
jab kali ghaTa qahr ka saman bani thi
de kar gai bijli ka ujala koi aahaT
goshe mein tasawwur jahan bimar paDa tha
karti thi mohabbat se ishaara koi aahaT
KHamosh KHayalon ke qafas mein tu paDa rah
jagegi nahin dar pe dobara koi aahaT
sailab ke narghe mein ghiri jab se tamanna
ek sapna dikhati hai suhana koi aahaT
karti hai kabhi ghaiz ki banhon ko pakaD kar
bechain samundar mein tamasha koi aahaT
ek yaad ka aanchal jo uDa tez hawa mein
dene lagi hamdard bulawa koi aahaT
rahmat bhari aankhon se zara dekhna 'jafar'
tufan mein DhunDe hai sahaara koi aahaT
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.