purana sath chhuTa ja raha hai
purānā saath chhūTā jā rahā hai
mirā dil hai ki TuuTā jā rahā hai
sabab to hai nahīñ koī magar vo
musalsal mujh se rūThā jā rahā hai
suhānā ḳhvāb āñkhoñ ko dikhā kar
sukūn-e-qalb luuTā jā rahā hai
kahūñ to kis tarah 'jāzib' kahūñ maiñ
vo dekho ek jhūTā jā rahā hai
purana sath chhuTa ja raha hai
mera dil hai ki TuTa ja raha hai
sabab to hai nahin koi magar wo
musalsal mujh se ruTha ja raha hai
suhana KHwab aankhon ko dikha kar
sukun-e-qalb luTa ja raha hai
kahun to kis tarah 'jazib' kahun main
wo dekho ek jhuTa ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.