purane aanchal ki bas khane lagi hai dil ko
purāne āñchal kī baas khāne lagī hai dil ko
ye taaza yādoñ kī pyaas khāne lagī hai dil ko
laboñ ke ujle zurūf meñ shahd ghul rahā hai
ye dūdhiyā sī miThās khāne lagī hai dil ko
lahū meñ us ruḳh ke Doltā sabz nesh bhī hai
guloñ ke saa.e meñ ghaas khāne lagī hai dil ko
safed poshāk aañkh meñ nuur bhar rahī hai
dhulī-dhulā.ī kapās khāne lagī hai dil ko
milan kī ummīd pal-do-pal ko havā huī hai
gumāñ ke rath par nirās khāne lagī hai dil ko
purane aanchal ki bas khane lagi hai dil ko
ye taza yaadon ki pyas khane lagi hai dil ko
labon ke ujle zuruf mein shahd ghul raha hai
ye dudhiya si miThas khane lagi hai dil ko
lahu mein us ruKH ke Dolta sabz nesh bhi hai
gulon ke sae mein ghas khane lagi hai dil ko
safed poshak aankh mein nur bhar rahi hai
dhuli-dhulai kapas khane lagi hai dil ko
milan ki ummid pal-do-pal ko hawa hui hai
guman ke rath par niras khane lagi hai dil ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.