purane ahd ke sikke kahan chala rahe ho
purāne ahd ke sikke kahāñ chalā rahe ho
vafā ḳhulūs mohabbat ye kyā sunā rahe ho
bhalā tum itne aziyyat-pasand kab se hue
jo baat baat pe yuuñ qahqahe lagā rahe ho
safar hī ḳhāna-ba-doshoñ ko zeb detā hai
sarā.e kaafī hai ghar-bār kyoñ banā rahe ho
kiran kiran ko taraste haiñ mere gaañv ke log
aur ek tum ki nadī meñ diye bahā rahe ho
tumhārī aañkh meñ ik be-kanār hasrat hai
tum is se pahle kahīñ aur mubtalā rahe ho
koī to ho jo gale se lagā ke pūchhe mujhe
batāo 'badr' mirī jaan kyā chhupā rahe ho
purane ahd ke sikke kahan chala rahe ho
wafa KHulus mohabbat ye kya suna rahe ho
bhala tum itne aziyyat-pasand kab se hue
jo baat baat pe yun qahqahe laga rahe ho
safar hi KHana-ba-doshon ko zeb deta hai
sarae kafi hai ghar-bar kyon bana rahe ho
kiran kiran ko taraste hain mere ganw ke log
aur ek tum ki nadi mein diye baha rahe ho
tumhaari aankh mein ek be-kanar hasrat hai
tum is se pahle kahin aur mubtala rahe ho
koi to ho jo gale se laga ke puchhe mujhe
batao 'badr' meri jaan kya chhupa rahe ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.