purane aks kar ke rad hamare
purāne aks kar ke rad hamāre
badal detā hai ḳhāl-o-ḳhad hamāre
tabī.at ke bahut āzād the ham
rahī Thokar meñ har masnad hamāre
khulī bāñhoñ se milte the hamesha
magar thī darmiyāñ ik had hamāre
zarā sī dhuup chamkegī saroñ par
pighal jā.eñge mū-e-qad hamāre
purane aks kar ke rad hamare
badal deta hai KHal-o-KHad hamare
tabiat ke bahut aazad the hum
rahi Thokar mein har masnad hamare
khuli banhon se milte the hamesha
magar thi darmiyan ek had hamare
zara si dhup chamkegi saron par
pighal jaenge mu-e-qad hamare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.