purane ghaw nae dukh bhulane baiThe hain
purāne ghaav na.e dukh bhulāne baiThe haiñ
dukāneñ lutf-o-karam kī sajāne baiThe haiñ
hamīñ ko vo bhī samajhte haiñ behis-o-bekār
ki apnī prem kathā.eñ sunāne baiThe haiñ
hujūm-e-nauha-garāñ meñ huuñ mutma.in jaise
ye log merā hī mātam manāne baiThe haiñ
tumhāre baad jachā hī nahīñ koī ham ko
ye phūl-jism hameñ kyoñ lubhāne baiThe haiñ
ye jaan kar hī to maiñ ḳhud ko dafn kar aaya
vo merī gor pe aañsū bahāne baiThe haiñ
vo shaḳhs jis ne kiyā un ko har jagah rusvā
usī kī piiTh vo ab thapthapāne baiThe haiñ
mirā surāġh kahīñ bhī na un ko mil paayā
ab apne aap ko chūnā lagāne baiThe haiñ
maiñ fasl-e-gul se bhī fasl-e-ḳhizāñ se bhī huuñ ḳhush
mirā yaqīn vo kyoñ Dagmagāne baiThe haiñ
karam hameñ to rafīqoñ ne Das liyā 'īraj'
sitam ki kaaTe ko marham lagāne baiThe haiñ
purane ghaw nae dukh bhulane baiThe hain
dukanen lutf-o-karam ki sajaane baiThe hain
hamin ko wo bhi samajhte hain behis-o-bekar
ki apni prem kathaen sunane baiThe hain
hujum-e-nauha-garan mein hun mutmain jaise
ye log mera hi matam manane baiThe hain
tumhaare baad jacha hi nahin koi hum ko
ye phul-jism hamein kyon lubhane baiThe hain
ye jaan kar hi to main KHud ko dafn kar aaya
wo meri gor pe aansu bahane baiThe hain
wo shaKHs jis ne kiya un ko har jagah ruswa
usi ki piTh wo ab thapthapane baiThe hain
mera suragh kahin bhi na un ko mil paya
ab apne aap ko chuna lagane baiThe hain
main fasl-e-gul se bhi fasl-e-KHizan se bhi hun KHush
mera yaqin wo kyon Dagmagane baiThe hain
karam hamein to rafiqon ne Das liya 'iraj'
sitam ki kaTe ko marham lagane baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.