purane ghar ka jo sidha sa ek naqsha the
purāne ghar kā jo sīdhā sā ek naqsha the
ye log vo haiñ jo pahle kabhī farishta the
tumhāre husn-e-nazar ne banā diyā manzil
kabhī na jis pe chalā koī ham vo rasta the
dayār-e-dushman-e-jāñ se bahut sahārā milā
tumhāre shahr se nikle to dil shikasta the
baḌe maze meñ rahe maslahat ke shahzāde
jo sach kī raah meñ the un ke haal ḳhasta the
tumheñ bulandī-e-qāmat pe thā ġhurūr magar
the vo to zarf meñ a.alā jo qad meñ pasta the
jo ishtihār bane phir rahe the ġhairat kā
amīr-e-shahr ke aage vo dast-basta the
yahī haiñ hazrat-e-'āqib' jo pārsā haiñ bahut
yahī to bā.is-e-afsāna-e-guzishta the
purane ghar ka jo sidha sa ek naqsha the
ye log wo hain jo pahle kabhi farishta the
tumhaare husn-e-nazar ne bana diya manzil
kabhi na jis pe chala koi hum wo rasta the
dayar-e-dushman-e-jaan se bahut sahaara mila
tumhaare shahr se nikle to dil shikasta the
baDe maze mein rahe maslahat ke shahzade
jo sach ki rah mein the un ke haal KHasta the
tumhein bulandi-e-qamat pe tha ghurur magar
the wo to zarf mein aala jo qad mein pasta the
jo ishtihaar bane phir rahe the ghairat ka
amir-e-shahr ke aage wo dast-basta the
yahi hain hazrat-e-'aqib' jo parsa hain bahut
yahi to bais-e-afsana-e-guzishta the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.