purane ghar se nikal kar nae makan ki samt
purāne ghar se nikal kar na.e makān kī samt
bahut se log ga.e ik 'ajab jahān kī samt
pukārtā hai jo sadiyoñ se ham ko ai yaaro
chalo chale chaleñ us TuuTe sā.ebān kī samt
jo ek 'umr se rahtā thā barf-zāroñ meñ
chalā hai kis liye jaltī huī chaTān kī samt
milā thā raah meñ baiThā jo ek din ham ko
sunā hai jā chukā vo shaḳhs āsmān kī samt
mirā jahāz jo pahuñchegā us jazīre meñ
na koī ġhaur se dekhegā bādbān kī samt
kabhī jo sochā hai haq baat kah duuñ ai 'as.ad'
baḌhī haiñ qaiñchiyāñ kitnī mirī zabān kī samt
purane ghar se nikal kar nae makan ki samt
bahut se log gae ek 'ajab jahan ki samt
pukarta hai jo sadiyon se hum ko ai yaro
chalo chale chalen us TuTe saeban ki samt
jo ek 'umr se rahta tha barf-zaron mein
chala hai kis liye jalti hui chaTan ki samt
mila tha rah mein baiTha jo ek din hum ko
suna hai ja chuka wo shaKHs aasman ki samt
mera jahaz jo pahunchega us jazire mein
na koi ghaur se dekhega baadban ki samt
kabhi jo socha hai haq baat kah dun ai 'asad'
baDhi hain qainchiyan kitni meri zaban ki samt
- Book : Kulliyat-e-Asad Badayuni (Pg. 70)
- Author : Asad Badayuni
- Publication : National Council for Promotion of Urdu language-NCPUL (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.