purane ishq ka sadma uThaya ja raha hai
purāne ishq kā sadma uThāyā jā rahā hai
kisī zid meñ tirā naḳhra uThāyā jā rahā hai
judā.ī meñ chaḌhā.ī jā rahī hai sar mohabbat
ġharībī meñ tirā ḳharcha uThāyā jā rahā hai
tumheñ aatā nahīñ shāyad tamāshā dekhnā bhī
udhar dekho jidhar parda uThāyā jā rahā hai
karā.ī jā rahī hai dostī ham se hamārī
hamārā fā.eda kitnā uThāyā jā rahā hai
nikal aayā hai koī saañp yādoñ se tumhārī
yūñhī sar par nahīñ kamra uThāyā jā rahā hai
purane ishq ka sadma uThaya ja raha hai
kisi zid mein tera naKHra uThaya ja raha hai
judai mein chaDhai ja rahi hai sar mohabbat
gharibi mein tera KHarcha uThaya ja raha hai
tumhein aata nahin shayad tamasha dekhna bhi
udhar dekho jidhar parda uThaya ja raha hai
karai ja rahi hai dosti hum se hamari
hamara faeda kitna uThaya ja raha hai
nikal aaya hai koi sanp yaadon se tumhaari
yunhi sar par nahin kamra uThaya ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.