purane ishq mein taza ko zam karaata hua
purāne ishq meñ taaza ko zam karātā huā
guzar rahā huuñ diye se diyā jalātā huā
tumhāre naam mohabbat kī bārgāhoñ meñ
maiñ sar jhukātā lab-e-iltijā hilātā huā
charāġh jaise havā kī lapeT meñ aa.e
maiñ chashm-e-nam tire pahlū meñ thartharātā huā
maiñ tujh se duur huā huuñ ki tujh ko dekh sakūñ
ye fāsla hai ka.ī fāsle miTātā huā
mire ḳhudā ye ibādat shumār kar lenā
ki jal uThā huuñ jale āshiyāñ bachātā huā
purane ishq mein taza ko zam karaata hua
guzar raha hun diye se diya jalata hua
tumhaare nam mohabbat ki bargahon mein
main sar jhukata lab-e-iltija hilata hua
charagh jaise hawa ki lapeT mein aae
main chashm-e-nam tere pahlu mein thartharaata hua
main tujh se dur hua hun ki tujh ko dekh sakun
ye fasla hai kai fasle miTata hua
mere KHuda ye ibaadat shumar kar lena
ki jal uTha hun jale aashiyan bachata hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.