purane par naya chehra zaruri hai
purāne par nayā chehra zarūrī hai
mukhauTā kyoñ nahīñ badlā zarūrī hai
sahī ko bas sahī kahnā nahīñ kaafī
ġhalat ko bhī ġhalat kahnā zarūrī hai
mujhe us se use mujh se nahīñ kuchh bhī
yahāñ par kuchh na kuchh honā zarūrī hai
are maanā tere abbā ko bhāyā hai
magar laḌkā sahī ho kyā zarūrī hai
mere hāthoñ likhā ye ḳhat use denā
use jab do use kahnā zarūrī hai
mujhe jab thī zarūrat tab kahāñ thā tū
mujhe ab mat batā tū kyā zarūrī hai
'darāz' achchhā hai ik shā.ir chalo maanā
to kyā insāñ bhī ho achchhā zarūrī hai
purane par naya chehra zaruri hai
mukhauTa kyon nahin badla zaruri hai
sahi ko bas sahi kahna nahin kafi
ghalat ko bhi ghalat kahna zaruri hai
mujhe us se use mujh se nahin kuchh bhi
yahan par kuchh na kuchh hona zaruri hai
are mana tere abba ko bhaya hai
magar laDka sahi ho kya zaruri hai
mere hathon likha ye KHat use dena
use jab do use kahna zaruri hai
mujhe jab thi zarurat tab kahan tha tu
mujhe ab mat bata tu kya zaruri hai
'daraaz' achchha hai ek shair chalo mana
to kya insan bhi ho achchha zaruri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.