purane raston ko moD kyon nahin dete
purāne rāstoñ ko moḌ kyoñ nahīñ dete
ham ek dūsre ko chhoḌ kyoñ nahīñ dete
hamāre biich meñ koī qarār thoḌī hai
bas ik yaqīñ hai use toḌ kyoñ nahīñ dete
kabhī kabhī to ye sahrā sadā.eñ detā hai
ye dariyā merī taraf moḌ kyoñ nahīñ dete
hamārā saath gavāra nahīñ agar tum ko
hamārā haath bhalā chhoḌ kyoñ nahīñ dete
tumhāre rāste kā maiñ hī ek patthar huuñ
ye Thīkrā mire sar phoḌ kyoñ nahīñ dete
vo ek baat jo kab se pakaḌ ke baiThe ho
us ek baat ko tum chhoḌ kyoñ nahīñ dete
purane raston ko moD kyon nahin dete
hum ek dusre ko chhoD kyon nahin dete
hamare bich mein koi qarar thoDi hai
bas ek yaqin hai use toD kyon nahin dete
kabhi kabhi to ye sahra sadaen deta hai
ye dariya meri taraf moD kyon nahin dete
hamara sath gawara nahin agar tum ko
hamara hath bhala chhoD kyon nahin dete
tumhaare raste ka main hi ek patthar hun
ye Thikra mere sar phoD kyon nahin dete
wo ek baat jo kab se pakaD ke baiThe ho
us ek baat ko tum chhoD kyon nahin dete
- Book : Dhoop Mein Baithne Ke Din Aaye (Pg. 41)
- Author : Sunil Aftab
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.
 
                         
 