purānī choT maiñ kaise dikhā.ūñ
uThe jab dard to phir muskurā.ūñ
bahut se log mujh meñ ro rahe haiñ
amaañ kis kis ko yaañ par chup karā.ūñ
tumhārī yaad jo ab mar chukī hai
maiñ us dafan kar duuñ yā jalā.ūñ
bahut jī chāhtā hai kuchh dinoñ se
maiñ apne-āp se hī ruuTh jā.ūñ
mirī ḳhātir duā karnā mire dost
kisī din ḳhud ko sach meñ bhuul jā.ūñ
guzārish hai na mujh ko yaad aa.e
tamannā hai na tujh ko yaad aa.uuñ
tumhārā naam phir sāhil pe likkhūñ
lahr se aane pahle ḳhud miTā.ūñ
banā.ūñgā maiñ ḳhud ko jī kiyā to
faqat bigḌī huī maiñ kyuuñ banā.ūñ
maiñ bhītar se bahut TuuTā huā huuñ
kisī se haal apnā kyā chhupā.ūñ
purani choT main kaise dikhaun
uThe jab dard to phir muskuraun
bahut se log mujh mein ro rahe hain
aman kis kis ko yan par chup karaun
tumhaari yaad jo ab mar chuki hai
main us dafan kar dun ya jalaun
bahut ji chahta hai kuchh dinon se
main apne-ap se hi ruTh jaun
meri KHatir dua karna mere dost
kisi din KHud ko sach mein bhul jaun
guzarish hai na mujh ko yaad aae
tamanna hai na tujh ko yaad aaun
tumhaara nam phir sahil pe likkhun
lahr se aane pahle KHud miTaun
banaunga main KHud ko ji kiya to
faqat bigDi hui main kyun banaun
main bhitar se bahut TuTa hua hun
kisi se haal apna kya chhupaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.