purani miTTi se paikar naya banaun koi
purānī miTTī se paikar nayā banā.ūñ koī
din aa ga.e haiñ ki ab mo.ajaza dikhā.ūñ koī
pukārte haiñ ufuq ḳhaak be-sifāt huī
zamīn se shajar-e-āftāb ugā.ūñ koī
asā buland karūñ sar-kashīda lahroñ par
fasīl-e-āb uThā.ūñ havā chalā.ūñ koī
siyāhiyoñ meñ chhupe haiñ diloñ ke ā.īne
kahīñ se partav-e-gum-gashta DhūñD lā.ūñ koī
tarāsh luuñ koī jumla lab-e-ḳhamoshī se
charāġh-e-harf sar-e-tāq-e-shab jalā.ūñ koī
ġhubār-e-rañg meñ bhaTkī huī haiñ ḳhushbūeñ
havā kā haath banūñ rāsta dikhā.ūñ koī
zamīñ se lauh-e-falak tak hujūm-e-chashm-o-sadā
bikhar chukā huuñ bahut dā.era lagā.ūñ koī
purani miTTi se paikar naya banaun koi
din aa gae hain ki ab moajaza dikhaun koi
pukarte hain ufuq KHak be-sifat hui
zamin se shajar-e-aftab ugaun koi
asa buland karun sar-kashida lahron par
fasil-e-ab uThaun hawa chalaun koi
siyahiyon mein chhupe hain dilon ke aaine
kahin se partaw-e-gum-gashta DhunD laun koi
tarash lun koi jumla lab-e-KHamoshi se
charagh-e-harf sar-e-taq-e-shab jalaun koi
ghubar-e-rang mein bhaTki hui hain KHushbuen
hawa ka hath banun rasta dikhaun koi
zamin se lauh-e-falak tak hujum-e-chashm-o-sada
bikhar chuka hun bahut daera lagaun koi
- Book : Pakistani Adab (Pg. 708)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.