purani yaad ki tamir Dhana bhul jata hun
purānī yaad kī ta.amīr Dhānā bhuul jaatā huuñ
maiñ ik ghar se na.e ghar ko basānā bhuul jaatā huuñ
nikal jaatā huuñ dariyā paar paanī paaT ke lekin
kināre se kināre ko milānā bhuul jaatā huuñ
maiñ yāroñ kī jafāoñ ko bayāñ karte hue aksar
maiñ dushman kī sadāqat ko batānā bhuul jaatā hai
mire tan par qabā zaḳhmoñ kī har mausam badaltī hai
labāda oḌhtā huuñ aur purānā bhuul jaatā huuñ
purani yaad ki tamir Dhana bhul jata hun
main ek ghar se nae ghar ko basana bhul jata hun
nikal jata hun dariya par pani paT ke lekin
kinare se kinare ko milana bhul jata hun
main yaron ki jafaon ko bayan karte hue aksar
main dushman ki sadaqat ko batana bhul jata hai
mere tan par qaba zaKHmon ki har mausam badalti hai
labaada oDhta hun aur purana bhul jata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.