purānī yaad kī tamām kirchiyāñ liye hue
udaas shaam aa ga.ī paheliyāñ liye hue
Tapak paḌā lahū uchhaltī machhliyoñ ko dekh kar
kabhī mile the tum bhī kaj-kulāhiyāñ liye hue
abhī to maut se haiñ duur zindagī kī pyaas hai
kabhī chaleñge us taraf ravāniyāñ liye hue
Thahar zarā mire raqīb dost saath saath chal
ham us kī or jā rahe haiñ kashtiyāñ liye hue
sadā.eñ aa rahīñ dayār-e-ġham kā baab bhī khulā
milegī raat āshiqoñ kī siskiyāñ liye hue
dhuāñ dhuāñ fazā sabhī sitāre gum hue kahīñ
kisī ne khol dī hai zulf sardiyāñ liye hue
maiñ kho rahā huuñ ḳhud ko har talāsh ḳhatm ho rahī
mirī ġhazal milī mujhe tasalliyāñ liye hue
nahīñ nahīñ abhī diloñ kī bastiyāñ ujaaḌ do
ki chal rahī ye nasl-e-nau burā.iyāñ liye hue
koī mirā bhī ho sake ye chāhtā nahīñ ḳhudā
atā huī haiñ raunaqeñ udāsiyāñ liye hue
vo āḳhirī sahar hameñ aziiz thī kabhī bahut
jahāñ bichhaḌ ga.e the tum shitābiyāñ liye hue
safed rañg zindagī kā daaġh daaġh ho gayā
taḌap rahā tamām shab siyāhiyāñ liye hue
purani yaad ki tamam kirchiyan liye hue
udas sham aa gai paheliyan liye hue
Tapak paDa lahu uchhalti machhliyon ko dekh kar
kabhi mile the tum bhi kaj-kulahiyan liye hue
abhi to maut se hain dur zindagi ki pyas hai
kabhi chalenge us taraf rawaniyan liye hue
Thahar zara mere raqib dost sath sath chal
hum us ki or ja rahe hain kashtiyan liye hue
sadaen aa rahin dayar-e-gham ka bab bhi khula
milegi raat aashiqon ki siskiyan liye hue
dhuan dhuan faza sabhi sitare gum hue kahin
kisi ne khol di hai zulf sardiyan liye hue
main kho raha hun KHud ko har talash KHatm ho rahi
meri ghazal mili mujhe tasalliyan liye hue
nahin nahin abhi dilon ki bastiyan ujaD do
ki chal rahi ye nasl-e-nau buraiyan liye hue
koi mera bhi ho sake ye chahta nahin KHuda
ata hui hain raunaqen udasiyan liye hue
wo aaKHiri sahar hamein aziz thi kabhi bahut
jahan bichhaD gae the tum shitabiyan liye hue
safed rang zindagi ka dagh dagh ho gaya
taDap raha tamam shab siyahiyan liye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.