purkashish KHwab se jale barson
purkashish ḳhvāb se jale barsoñ
kin sarāboñ meñ ham chale barsoñ
ham na taskīn de sake ḳhud ko
apnī hī aag meñ jale barsoñ
kyā yahī vaqt kī siyāsat hai
jo sulagte haiñ mas.ale barsoñ
zindagī kī kaḌī masāfat meñ
saath chalte haiñ marhale barsoñ
aañkh us ne milā.ī thī ik din
kitnī āñkhoñ meñ ham khale barsoñ
raah pur-ḳhār thī bahut lekin
phuuT paa.e na aable barsoñ
purkashish KHwab se jale barson
kin sarabon mein hum chale barson
hum na taskin de sake KHud ko
apni hi aag mein jale barson
kya yahi waqt ki siyasat hai
jo sulagte hain masale barson
zindagi ki kaDi masafat mein
sath chalte hain marhale barson
aankh us ne milai thi ek din
kitni aankhon mein hum khale barson
rah pur-KHar thi bahut lekin
phuT pae na aable barson
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.