pursish-e-gham ko na aa gham ka mudawa ho ja
pursish-e-ġham ko na aa ġham kā mudāvā ho jā
mujh meñ dil ban ke dhaḌak merā sarāpā ho jā
paaoñ rakhne ko zamīñ tag na mayassar hogī
bhiiḌ se ūñchā na uTh bhiiḌ kā hissa ho jā
aql kahtī hai ki maañg un se vafāoñ kā sila
dil ye kahtā hai ki mahrūm-e-tamannā ho jā
TuuT hī jaa.eñ na dhartī se kahīñ sab rishte
itnā ūñchā bhī na uḌ thoḌā sā nīchā ho jā
rif.ateñ chhū ke dikhā ishq-o-mohabbat kī 'naresh'
us ne ik qatra jo māñgā hai to dariyā ho jā
pursish-e-gham ko na aa gham ka mudawa ho ja
mujh mein dil ban ke dhaDak mera sarapa ho ja
paon rakhne ko zamin tag na mayassar hogi
bhiD se uncha na uTh bhiD ka hissa ho ja
aql kahti hai ki mang un se wafaon ka sila
dil ye kahta hai ki mahrum-e-tamanna ho ja
TuT hi jaen na dharti se kahin sab rishte
itna uncha bhi na uD thoDa sa nicha ho ja
rifaten chhu ke dikha ishq-o-mohabbat ki 'naresh'
us ne ek qatra jo manga hai to dariya ho ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.