pursish jo hogi tujhse jallad kya karega
pursish jo hogī tujh se jallād kyā karegā
le ḳhuun maiñ ne baḳhshā tū yaad kyā karegā
huuñ daam meñ pur-afshāñ aur sādgī se hairāñ
kyuuñ tez kī haiñ chhuriyāñ sayyād kyā karegā
zālim ye soch kar ab detā hai bosa-e-lab
jab hoñT sī diye phir fariyād kyā karegā
zanjīr tār-e-dāmāñ hai tauq ik garebāñ
zor-e-junūñ na kam ho haddād kyā karegā
ham Duub kar mareñge hasrat rahegī tujh ko
jab ḳhaak hī na hogī barbād kyā karegā
yāqūb qat' kar deñ ummīd-e-vasl dil se
yūsuf sā banda koī āzād kyā karegā
dil le ke pūchhtā hai tū kis kā shefta hai
bhūlā abhī se zālim phir yaad kyā karegā
ai ḳhatt-e-bayāz aariz darkār hai jo tujh ko
tahrīr husn kī kuchh rūdād kyā karegā
kunj-e-qafas se ik din hogī rihā.ī apnī
mar jā.eñge to āḳhir sayyād kyā karegā
misl-e-sipand dil hai betāb soz-e-ġham meñ
rah jā.egā taḌap kar fariyād kyā karegā
ai shaiḳh bhar gayā hai kyuuñ va.az kī havā meñ
rīsh-e-safed apnī barbād kyā karegā
zulm-o-sitam se bhī ab zālim ne haath khīñchā
is se sitam vo baḌh kar ījād kyā karegā
az-bas-ki be-hunar huuñ maiñ nañg-e-mo'tariz huuñ
mazmūñ pe mere koī īrād kyā karegā
ai 'nazm' jis ko chāhe vo de bahisht dozaḳh
namrūd kyā karegā shaddād kyā karegā
pursish jo hogi tujh se jallad kya karega
le KHun main ne baKHsha tu yaad kya karega
hun dam mein pur-afshan aur sadgi se hairan
kyun tez ki hain chhuriyan sayyaad kya karega
zalim ye soch kar ab deta hai bosa-e-lab
jab honT si diye phir fariyaad kya karega
zanjir tar-e-daman hai tauq ek gareban
zor-e-junun na kam ho haddad kya karega
hum Dub kar marenge hasrat rahegi tujh ko
jab KHak hi na hogi barbaad kya karega
yaqub qat' kar den ummid-e-wasl dil se
yusuf sa banda koi aazad kya karega
dil le ke puchhta hai tu kis ka shefta hai
bhula abhi se zalim phir yaad kya karega
ai KHatt-e-bayaz aariz darkar hai jo tujh ko
tahrir husn ki kuchh rudad kya karega
kunj-e-qafas se ek din hogi rihai apni
mar jaenge to aaKHir sayyaad kya karega
misl-e-sipand dil hai betab soz-e-gham mein
rah jaega taDap kar fariyaad kya karega
ai shaiKH bhar gaya hai kyun waz ki hawa mein
rish-e-safed apni barbaad kya karega
zulm-o-sitam se bhi ab zalim ne hath khincha
is se sitam wo baDh kar ijad kya karega
az-bas-ki be-hunar hun main nang-e-mo'tariz hun
mazmun pe mere koi irad kya karega
ai 'nazm' jis ko chahe wo de bahisht dozaKH
namrud kya karega shaddad kya karega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.