putli ki ewaz hun but-e-rana-e-banaras
putlī kī evaz huuñ but-e-ra.anā-e-banāras
allāh phir in āñkhoñ ko dikhlā.e banāras
rotā huuñ banāras ke tasavvur meñ shab-o-roz
ai hindūo dekho ye hai dariyā-e-banāras
merī ye vasiyyat se ki mar jā.ūñ agar maiñ
to bād-e-sabā ḳhaak ko pahuñchā.e banāras
hai ka.aba-e-maqsūd faqat kūcha-e-dil-dār
kāfir huuñ jo mujh ko ho tamannā-e-banaras
nāzim ho mohammad kā agar lucknow jā.ūñ
is mulk meñ huuñ ma.adilat-ārā-e-banaras
ka.abe meñ du'ā māñgūñgā maiñ apne ḳhudā se
yārab but-e-kāfir mujhe bulvā.e banāras
bañgal ko ravāna huuñ raqībān-e-siyah-rū
mere liye ho maskan-e-māvā-e-banāras
maiñ ḳhush huuñ tū ābād rahe varna ilāhī
phir piipe se bārūt ke oḌh jaa.e banāras
jab se mujhe qismat ne banāras se chhuḌāyā
rahtā hai zabāñ par mire bas haa.e banāras
ik gesuoñ vaale kī mohabbat kā paḌā pech
pahle to na thā mujh ko ye saudā-e-banaras
ai 'mehr' tavārud hoñ jo mazmūñ to bajā hai
maiñ aur 'hazīñ' donoñ haiñ shohdā-e-banāras
putli ki ewaz hun but-e-rana-e-banaras
allah phir in aankhon ko dikhlae banaras
rota hun banaras ke tasawwur mein shab-o-roz
ai hinduo dekho ye hai dariya-e-banaras
meri ye wasiyyat se ki mar jaun agar main
to baad-e-saba KHak ko pahunchae banaras
hai kaba-e-maqsud faqat kucha-e-dil-dar
kafir hun jo mujh ko ho tamanna-e-banaras
nazim ho mohammad ka agar lucknow jaun
is mulk mein hun madilat-ara-e-banaras
kabe mein du'a mangunga main apne KHuda se
yarab but-e-kafir mujhe bulwae banaras
bangal ko rawana hun raqiban-e-siyah-ru
mere liye ho maskan-e-mawa-e-banaras
main KHush hun tu aabaad rahe warna ilahi
phir pipe se barut ke oDh jae banaras
jab se mujhe qismat ne banaras se chhuDaya
rahta hai zaban par mere bas hae banaras
ek gesuon wale ki mohabbat ka paDa pech
pahle to na tha mujh ko ye sauda-e-banaras
ai 'mehr' tawarud hon jo mazmun to baja hai
main aur 'hazin' donon hain shohda-e-banaras
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.