putliyon par tere chehre ko banaya hua hai
putliyoñ par tire chehre ko banāyā huā hai
sāmne aañkh ke yuuñ tujh ko sajāyā huā hai
dar-o-dīvār-e-tamaddun ko girāyā jis ne
haa.e vo hashr hamārā hī uThāyā huā hai
apnī parvāz pe nāzāñ jo uḌā phirtā hai
vo parinda bhī hamārā hī uḌāyā huā hai
do-ghaḌī aañkh lagā lo karo ehsāñ un par
tum ne ḳhvāboñ ko ka.ī din se jagāyā huā hai
zor TūTegā havā kā to kahāñ jā.egā
jis ġhubāre ko fazāoñ meñ uḌāyā huā hai
mere chille kī riyāzat kā samar dekh zarā
apne ham-zād ko pahlū meñ biThāyā huā hai
putliyon par tere chehre ko banaya hua hai
samne aankh ke yun tujh ko sajaya hua hai
dar-o-diwar-e-tamaddun ko giraya jis ne
hae wo hashr hamara hi uThaya hua hai
apni parwaz pe nazan jo uDa phirta hai
wo parinda bhi hamara hi uDaya hua hai
do-ghaDi aankh laga lo karo ehsan un par
tum ne KHwabon ko kai din se jagaya hua hai
zor TuTega hawa ka to kahan jaega
jis ghubare ko fazaon mein uDaya hua hai
mere chille ki riyazat ka samar dekh zara
apne ham-zad ko pahlu mein biThaya hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.