puchh lete hain wo aksar ki hai haalat kaisi
pūchh lete haiñ vo aksar ki hai hālat kaisī
ham pe ho jaatī hai un kī ye 'ināyat kaisī
'ahd-e-hāzir meñ to hai zikr bhī in kā be-sūd
kaisā ā.īn-e-vafā aur muravvat kaisī
ġhair ke ġham meñ bhī be-sāḳhta ro dete haiñ
ham ko allāh ne baḳhshī hai tabī'at kaisī
'ishq sādiq hai hamārā to hameñ kyā mā'lūm
shikva kyā hotā hai hotī hai shikāyat kaisī
dast-e-qudrat kā karishma ise samjheñ varna
ḳhaar aur gul meñ bhalā bāhamī sohbat kaisī
aap aa.e haiñ 'ayādat ko to dam bhar Thahreñ
hāl-e-dil pūchhne meñ aisī bhī 'ujlat kaisī
ham to har haal meñ rāzī-ba-razā haiñ 'gauhar'
ham nahīñ jānte hotī hai 'ibādat kaisī
puchh lete hain wo aksar ki hai haalat kaisi
hum pe ho jati hai un ki ye 'inayat kaisi
'ahd-e-hazir mein to hai zikr bhi in ka be-sud
kaisa aain-e-wafa aur murawwat kaisi
ghair ke gham mein bhi be-saKHta ro dete hain
hum ko allah ne baKHshi hai tabi'at kaisi
'ishq sadiq hai hamara to hamein kya ma'lum
shikwa kya hota hai hoti hai shikayat kaisi
dast-e-qudrat ka karishma ise samjhen warna
KHar aur gul mein bhala bahami sohbat kaisi
aap aae hain 'ayaadat ko to dam bhar Thahren
haal-e-dil puchhne mein aisi bhi 'ujlat kaisi
hum to har haal mein raazi-ba-raza hain 'gauhar'
hum nahin jaante hoti hai 'ibaadat kaisi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.