puchh mat kal aaine mein kya hua
pūchh mat kal aa.ine meñ kyā huā
apne zinda hone kā dhoka huā
roz sūraj Dūbtā ugtā huā
vaqt kī ik kiil par laTkā huā
aa gayā le kar udhārī raushnī
chāñd ne sūraj ko hai pahnā huā
tishnagī apnī bujhā.eñ kaise ham
jo samundar thā vo ab sahrā huā
shahr se jab bhī ye dil uktā gayā
dasht kī jānib mirā jaanā huā
ḳhūbiyāñ merī koī gintā nahīñ
ik zarā sī bhuul kā charchā huā
aa ga.ī huuñ duur chalte chalte maiñ
āsmāñ par hai vahīñ Thahrā huā
yaad us kī dil se kyuuñ jaatī nahīñ
vo to 'sīmā' kal thā ik guzrā huā
puchh mat kal aaine mein kya hua
apne zinda hone ka dhoka hua
roz suraj Dubta ugta hua
waqt ki ek kil par laTka hua
aa gaya le kar udhaari raushni
chand ne suraj ko hai pahna hua
tishnagi apni bujhaen kaise hum
jo samundar tha wo ab sahra hua
shahr se jab bhi ye dil ukta gaya
dasht ki jaanib mera jaana hua
KHubiyan meri koi ginta nahin
ek zara si bhul ka charcha hua
aa gai hun dur chalte chalte main
aasman par hai wahin Thahra hua
yaad us ki dil se kyun jati nahin
wo to 'sima' kal tha ek guzra hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.