puchh mat mera lahu sarf-e-sinan kitna hua
pūchh mat merā lahū sarf-e-sināñ kitnā huā
dekh ye aa kar ki zālim kā ziyāñ kitnā huā
ḳhauf-e-jāñ thī us kī teġh-e-chashm kī tezī magar
khā liyā jab zaḳhm to ārām-e-jāñ kitnā huā
ho rahī haiñ āsmāñ meñ in kī parvāzeñ bahut
in parindoñ se magar tai āsmāñ kitnā huā
har taraf gahrī siyāhī hai muhīt-e-'ishq meñ
ek sham'-e-dil ke bujhne se dhuāñ kitnā huā
vo jo majlis thī alam-pāroñ ke paḌhne kī vahāñ
kuchh batā mujh ko mirā qissa bayāñ kitnā huā
kar diyā mere liye farsh-e-badan ārāsta
raat hote hī vo mujh par mehrbāñ kitnā huā
maiñ ne to us ke liye āñkheñ bichā.ī thiiñ magar
pur-tapākī se vo merī bad-gumāñ kitnā huā
yaad karne kī hameñ mohlat mile to ham batā.eñ
zulm terī mamlikat meñ kab kahāñ kitnā huā
puchh mat mera lahu sarf-e-sinan kitna hua
dekh ye aa kar ki zalim ka ziyan kitna hua
KHauf-e-jaan thi us ki tegh-e-chashm ki tezi magar
kha liya jab zaKHm to aaram-e-jaan kitna hua
ho rahi hain aasman mein in ki parwazen bahut
in parindon se magar tai aasman kitna hua
har taraf gahri siyahi hai muhit-e-'ishq mein
ek sham'-e-dil ke bujhne se dhuan kitna hua
wo jo majlis thi alam-paron ke paDhne ki wahan
kuchh bata mujh ko mera qissa bayan kitna hua
kar diya mere liye farsh-e-badan aarasta
raat hote hi wo mujh par mehrban kitna hua
main ne to us ke liye aankhen bichai thin magar
pur-tapaki se wo meri bad-guman kitna hua
yaad karne ki hamein mohlat mile to hum bataen
zulm teri mamlikat mein kab kahan kitna hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.