puchha hi nahin usne kabhi haal hamara
pūchhā hī nahīñ us ne kabhī haal hamārā
bas yuuñ hī guzar jaatā hai har saal hamārā
rahtī hai ḳhabar saare zamāne kī hameñ bhī
phailā hai bahut duur talak jaal hamārā
mushkil hai kisī kaam kā honā bhī yahāñ par
ho jaatā hai har kaam ba-har-hāl hamārā
ham ne to numā.ish bhī lagā.ī nahīñ phir bhī
bāzār meñ chal jaatā hai har maal hamārā
pahchān zamāne se alag hī hai hamārī
miltā nahīñ har ek se sur-tāl hamārā
mumkin hai ki ban jaa.eñ shahanshāh-e-ġhazal ham
vaise to irāda nahīñ filhāl hamārā
puchha hi nahin us ne kabhi haal hamara
bas yun hi guzar jata hai har sal hamara
rahti hai KHabar sare zamane ki hamein bhi
phaila hai bahut dur talak jal hamara
mushkil hai kisi kaam ka hona bhi yahan par
ho jata hai har kaam ba-har-haal hamara
hum ne to numaish bhi lagai nahin phir bhi
bazar mein chal jata hai har mal hamara
pahchan zamane se alag hi hai hamari
milta nahin har ek se sur-tal hamara
mumkin hai ki ban jaen shahanshah-e-ghazal hum
waise to irada nahin filhaal hamara
- Book : Neend Shart Nahin (Pg. 55)
- Author : Khawaja Jawed Akhtar
- Publication : Shabkhoon Kitabghar Allahabad (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.