puchha mera nam jahan tanhai ne
pūchhā merā naam jahāñ tanhā.ī ne
chhāyā likh dī chehre pe gahrā.ī ne
us din se kapḌoñ kā ehsāñ hai tan par
mujhe chhuā thā jis din būḌhī daa.ī ne
miTTī chhū kar harā-bharā paudā niklā
parbat ko bhī aañkh dikhā.ī raa.ī ne
logoñ ne kyoñ us ko merī zaat kahā
chehre par jo naam likhā rusvā.ī ne
biivī bachche ta.ane shikve farmā.ish
ghar āñgan Derā Daalā mahñgā.ī ne
us din bistar chhoḌā pāgal aashā ne
dhuup likhī jab kamroñ meñ añgnā.ī ne
bādal thā to ambar ambar phirtā thā
buuñd banā to māñgā gahrī khaa.ī ne
aisī koī anhonī batlā 'parvāz'
bahtā paanī rok liyā ho kaa.ī ne
puchha mera nam jahan tanhai ne
chhaya likh di chehre pe gahrai ne
us din se kapDon ka ehsan hai tan par
mujhe chhua tha jis din buDhi dai ne
miTTi chhu kar hara-bhara pauda nikla
parbat ko bhi aankh dikhai rai ne
logon ne kyon us ko meri zat kaha
chehre par jo nam likha ruswai ne
biwi bachche tane shikwe farmaish
ghar aangan Dera Dala mahngai ne
us din bistar chhoDa pagal aasha ne
dhup likhi jab kamron mein angnai ne
baadal tha to ambar ambar phirta tha
bund bana to manga gahri khai ne
aisi koi anhoni batla 'parwaz'
bahta pani rok liya ho kai ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.